Friday, January 4, 2008

Poem for Team of the Month Award

This poem was everyone's favourite and was narrated by Sambhavika. She was Karchhi Kapoor in this and did a very good job of it! As her name suggests....yeh poem ek recipe hi thi...ek badiya CBT banane ki. :)

Aaiye aaj aapko elearning ki favourite mughlai CBT banana sikhate hain,
Jise hum SIPOC ki chatni aur SODA ke tel mein pakate hain!

Recipe itni mushkil nahin, bahut hi aasan hai,
Aur jo bhi ise banata hai woh apne aap mein mahaan hai!

Iske liye sabse pehle ek achha paka hua manager lein,
Jise thodi der client ke saath halka sa bhoon lein!

Isi se course mein swaad aata hai,
Jise baad mein khud manager apni ungliyaan chaat ker khaata hai!

Phir ek umda kism ka ID lein,
Aur use bada chammach A&D, LNA, Scoping, aur storyboarding ke beech ghol dein!

Ab do chaar swaadanusaar taaze GDs lein,
Jinehin is tayaar ghol mein achhi tarah lapet dein!

Ab in sab ko kuchh samay tak dheere dheere deadlines mein baareek pees lein,
Aur doosri ore kahin se mushkil se paaye jaane wale scriptor ko bhi ghisein!

Agar scriptor na mile toh kisi purane GD se hi kaam chala sakte hain,
Kyunki aajkal toh waise bhi sabhi reuse aur multisikilling hi karte hain!

Yaad rahe! Roz kisi tarah kintana ki baaltiyon ko bhi bharna hai,
Bhai...isi se toh aapko end mein apni dish ko garnish karna hai!

Ab dhyan se ismein FM aur FL ke essence ki bhi 2-3 boondein hi daaliyega,
Varna aapki dish ka swad toh bigdega aur ab tak jo kuchh kiya hai woh dobara karna padega!

Ab tayyaar ho jayein ismein QA ka tadkaa lagana hai,
Aapko uska swaad pasand aaye ya na aaye,
Par course banaane ki is parampara ko bhi toh nibhana hai!

Ismein chhonk zara dhyan se lagayein,
Kahin garma garam defects ki chheetein aap par na aa jayeing!

Bas tayyaar hai aapka lazzatdaar mughlai CBT course,
Jise aap chhod dein raam bharose,
Aur maze se Team of the Month ke nominations mein parosein!!

No comments: