Thursday, January 3, 2008

Poem for Functional Star GD

This poem was for the nomination of Functional Star GD and I wrote it on the lines of Shahrukh khan's poem in Veer Zaara :)
This was narrated by Shailendra who was Adobe Brushdhar in the Kavi Sammelan.

Main GD No. 9211, 22A ki salaakhon se baahar dekhta hoon...
Apne DAP, QES aur EMS ko Session C mein badalte dekhta hoon!

Roz subah office aakar pichhli shift ke uthne ka intezaar karta hoon...
Aur shaam dhalte hi kisi Bay mein dedicated seat dhoondta hoon!
Woh kehte hain ki tum Graphics creation expert ho...
Phir kyon mujhe specialization karne ko kaha jaata hai??
Subah shaam strech karta hoon...
Phir kyon mujhe chhutti ke din bhi bulaaya jaata hai??
Woh kehte hain "Think Creative" - Har course ki strategy banao....
Arre iske liye time chahiye...kam se kam deadlines toh aage badhao!
Main GD No. 9211, 22A ki salaakhon se baahar dekhta hoon...
Roz shaam 5:30 baje ki cabs ko apni nazron ke saamne jaata dekhta hoon!

Ek hi din mein training hai, meeting hai, Art'e fact bhi hai...
Raat ko ruk kar deliverable bhejna hai, yeh bhi toh fact hai!
Toh main GD no. 9211, in sab ko handle karta hoon...
Roz 5:30 baje ki cab ko apna lakshya banaata hoon!
Woh kehte hain nayi strategy lagao...
Main puraani ko uthata hoon, colors aur icons change kar use naya batlaata hoon!
Main GD no. 9211, jab jab RnR mein aata hoon...
Apna naam har Functional Star GD nominations mein dhoondta hoon!!

No comments: